Wednesday, February 24, 2016

EK CLICK ME FACEBOOK KE SABHI GROUP ME post

EK CLICK ME FACEBOOK KE SABHI GROUP ME EK SATH KAISE POST KARE


Hi friends,Dileep pathe chintu pawark trick ke sath wapas aa gaya hai,Aaj mai apko batunga kaise ek click me facebook ke sabhi group me post kar sakte hai. Ye trick apka time or data dono bachayega. Aap asani se kuch bhi post kar sakte hai.Step by Step janaye kaise Facebook ke sabhi group me ek sath post kar sakte hai

Features:
Time saving
Fast
ban hone ka koi risk nahi
Latest script
Data saving

Step by Step guide facebook group me ek sath post karne ke liye:

1. Sabse pahle script download kare, phir copy kare
Download Here 
2. Ab www.facebook.com pe jaye or facebook id se login kare

3. Download kiye huye script ko open kare

4. CTRL+A or CTRL+C  use karke sabhi text ko copy karle.

5. Ab facebook home page pe jaye-

Mozilla ke liye- CTRL+SHIFT+K (ab ek console panel open hogausme script code ko paste kare)

Chrome User- F12 press kare,Phr console panel me sabhi code ko paste karde.
chrome console panel


6. Ab Enter Press kare.Ek popup window khulega

7. Jo message ya post send karna hai type kare

8. Post pe click kare or kuch minute wait kare.


Ab asani se ek sath facebook ke sabhi group me ek click me hi post kar sakte hai.Apko ye post kaisa laga please comment karke bataye.

Facebook ke sabhi group me ek sath post kare,  bina script ke ( blogger ke liye)
Ye tricks blogger ke liye hai,Is trick ko use karne liye apke pas blog/site hona chahye.

Benefits :

Script ki jarurat nahi hai
Facebook Id ban nahi hoga
Fatest tarika hai ek click me facebook group pe post karne ke liye

Step By Step guide

1. Sabse pahle apne blog/site pe diye gaye link ko open kare apne widget me add kare - http://www.sharethis.com/get-sharing-tools/#

2. Ab apne website ka type select kare or apne blog ko widget me select kare.

3. Widget customization se apne blog me send button add kare

4. ab widget ko setup karne ke baad apna blog open akre or "send" button pe click kare

5. Ab apna message Enter kare or Send pe click karde

6. Apka message sabhi group me ek sath send ho ajyega.

Mene apko 2 tarika bataya jisse aap facebook group me ek sath koi status post kar sakte hai.
+9407330863
kalathuni
chhindwara

NEW MOBILE NUMBER KE BINA UNLIMITED FACEBOOK ACCOUNT KAISE BANATE HAI

Ab aap bina new mobile number ke unlimited facebook account bana sakte hai.Jaisa ki aap jante hai facebook ki security bahut strict hai,Agar aap bahut sare facebook accounts banate hai toh facebook apse mobile number verification mangta hai,lekin apke pas 1,2 se jayda mobile number nahi hai or aap facebook account banana chahte hai toh mere is article ko pura padhe.aap ek se adhik facebook account bana kar free me recharge kar sakte ganna app pe.


Ab aap bina new mobile number ke unlimited facebook account bana sakte hai.Jaisa ki aap jante hai facebook ki security bahut strict hai,Agar aap bahut sare facebook accounts banate hai toh facebook apse mobile number verification mangta hai,lekin apke pas 1,2 se jayda mobile number nahi hai or aap facebook account banana chahte hai toh mere is article ko pura padhe.aap ek se adhik facebook account bana kar free me recharge kar sakte ganna app pe.
 


Isye pahle mene bataya tha old password ke bina facebook pasword kaise change karte hai . Facebook ki security bahut high level ki hone ki wajah se account banate time apse mobile number verification manga jata hai.Kyunki facebook apke mobile ki Identity or IMEi number detect karta hai. Ek se adhik facebook account banane ke liye apko Gmail account ki bhi jarurat nahi ahi.Apko sirf ek temproray mail sites use karna hai ,jiske bare me mene sabkuch bataya hai agye.
Adhik facebook account banane ka purpose kya hai:

Blog ke advertise ke liye
Recharge apps use karne ke liye

 
Step by step process bina number cahnge kiye huye ek se adhik facebook account banane ke liye :

1. Sabse pahle paly store se apne android phone me opera mini browser install kare.

2. Opera browser open akre,or http://m.facebook.com/ open kare

3. Create an account pe click kare.mene pahle bhi ek post me bataya hai ki facebook accoun akise abnate hai.

4. Koi bhi name ,date of birth enter kare. Gender me FEMALE enter kare.

5. Ab http://temp-mail.org/option/change apne browser me open kare.

6. Koi bhi name type kare.Apka new email ban jayega,Ab temporary email jo abhi apne banaya hai usye facebook ke sign up page me type kare.

7. Ab facebook ke sign up page pe password enter akre or SIGN up pe click kare.

8. Ab apke temproray email site pe apko ek verification code ayega .

9. Code ko copy kare or apne facebook page me paste kare.


Unlimited facebook accounts banane ke liye agye ki step follow kare:

1. Opera Mini browser ke sabhi data ko delete karde
2. Donkey guard android app open akre,Or opera mini ka imei number etc sab change karde

3. Android Id change kare apne phone ka- Link pe click kare or jane android Id kaise change karte hai.

4. Android Id change karne ke baad ,Apne internet ko phir se conect kare ( apka IP address cahnge ho jayega)

5. Upar ke process ko phir se repeat kare or phir temporary mail bana kar apna new facebook account banaye.

6. Aisa karke aap unlimited facebook account bana sakte hai. 
Isye pahle mene bataya tha old password ke bina facebook pasword kaise change karte hai . Facebook ki security bahut high level ki hone ki wajah se account banate time apse mobile number verification manga jata hai.Kyunki facebook apke mobile ki Identity or IMEi number detect karta hai. Ek se adhik facebook account banane ke liye apko Gmail account ki bhi jarurat nahi ahi.Apko sirf ek temproray mail sites use karna hai ,jiske bare me mene sabkuch bataya hai agye.
Adhik facebook account banane ka purpose kya hai:

Blog ke advertise ke liye
Recharge apps use karne ke liye

 
Step by step process bina number cahnge kiye huye ek se adhik facebook account banane ke liye :

1. Sabse pahle paly store se apne android phone me opera mini browser install kare.

2. Opera browser open akre,or http://m.facebook.com/ open kare

3. Create an account pe click kare.mene pahle bhi ek post me bataya hai ki facebook accoun akise abnate hai.

4. Koi bhi name ,date of birth enter kare. Gender me FEMALE enter kare.

5. Ab http://temp-mail.org/option/change apne browser me open kare.

6. Koi bhi name type kare.Apka new email ban jayega,Ab temporary email jo abhi apne banaya hai usye facebook ke sign up page me type kare.

7. Ab facebook ke sign up page pe password enter akre or SIGN up pe click kare.

8. Ab apke temproray email site pe apko ek verification code ayega .

9. Code ko copy kare or apne facebook page me paste kare.


Unlimited facebook accounts banane ke liye agye ki step follow kare:

1. Opera Mini browser ke sabhi data ko delete karde
2. Donkey guard android app open akre,Or opera mini ka imei number etc sab change karde

3. Android Id change kare apne phone ka- Link pe click kare or jane android Id kaise change karte hai.

4. Android Id change karne ke baad ,Apne internet ko phir se conect kare ( apka IP address cahnge ho jayega)

5. Upar ke process ko phir se repeat kare or phir temporary mail bana kar apna new facebook account banaye.

6. Aisa karke aap unlimited facebook account bana sakte hai.

OLD PASSWORD KE BINA FACEBOOK PASSWORD CHANGE KAISE KARE

HEllo freind my NAme is Dileep pathe chintu pawar hai ye site maine banayi hai is site me Aap ki help karna chahta hoo.

facebook ka password chenge kare bina old password ke =========


Pichle kuch years me facebook sabse popular social networking site ban chuka hai.Islye log facebook ke tips or tricks janna
chahte hai.Islye mai aaj aplogo ko batunga kaise bina old password ke  facebook ka password change kare.Ye trick sirf PC pe kam karega,Islye isye Pc pe hi apply kare.


Note: Please is trick ka galat use nahi kare,Aap apne friend ke sath sirf masti kar sakte hai,Par galat use nahi kare.Agar kuch galat hoga toh uske jimedar aap honge,Islye ye trick aap apne risk pe hi use kare.

 
Facebook password badlne ke liye Requirements :

·Facebook Id Pc me login hona chahye

Step by step guide old pasword ke bina Facebook me new pasword set karne ka.


1.Sabse pahle apne Pc me www.facebook.com open kare

2.Ab jis id ke pasword ko aap change karna chahte hai,Wo Id apke Pc me login hona chahye pahle se.

3.Ab open kare link ko - www.facebook.com/hacked

4.Ab ye apse bina old pasword ke  pasword change karne ke liye puchega

5.Aur apse kuch or bhi information pucha jayega,Sabhi ko pura kare.

Ab maze se is trick use kare sirf masti ke liye,Is trick ka use hack ke liye bilkul bhi nahi kare. Gyanbook ke latest updates ke liye Follow kare hume facebook pe.

Read Also:FACEBOOK ACCOUNT PERMANENTLY KAISE DELETE KARTE HAI

Wednesday, February 17, 2016

Top 10 Softwares Har Windows Pc Me Hone Chahiye

Top 10 Softwares Har Windows Pc Me Hone Chahiye

Hey hi friends aaj mai aapko bataunga aisaTop 10 software’s jo aapke windows computer me jarur hone chahiye, ho sakta hai kuch software’s  aapka kam bahot aasan kar de toh is post ko puri tarah pad leejiye. Agar aapne abhi abhi new laptop ya dekstop kharida hai toh aap usko direct chalu karke istemal nahi kar sakte kyu ki pehle hume usme kuch software’s install karne padte hai. Ye jo 10 software’s mai aapko batane ja raha hu inko mai khud use karta hu aur pure safe hai, in sab programs ko maine puri tarah check kiya hai aur tabhi aapse share kar raha hu. Inme se koi bhi programm ko install karne se aapke pc ka koi nuksan nahi hoga. Waise toh hume internet par kai sare softwears milte hai, lekin kuch hume pasand nahi aate aur bahi kuch jo pasand aate hai wo sab paid hote hai. Aaj mai aapko Top 10 software’s bataunga jo 100% free hai. Aapko just itna karna hai applications ko download karke install karna hai aur ek bar install kar liye fir aap usko fully use kar sakte hai. Aur ek bad aapko bata du ki software ko hi Application, programs and set of instruction bolte hai aap confuse mat ho jaiye. Agar fir bhi aapko koi bat samaj me nahi aai toh niche commect box hai aap comment karke mujhse apne sawal puch sakte hai. So bina time wast kiye dekhte hai Top 10 program’s for windows.
Windows pc ke liye top 10 softwares

10. NotePad++

NotePad++  ek bahot hi badiya computer application hai jise hum Text ya source cod edit karne ke liye use karte hai. Jaise ki hume pata hai windows operating system install karne ke bad usme Notepad default text editor Microsoft ne hi recommend kiya hota hai, us notepad me kam karne ke liye interest nahi aata kyu ki Notepad bahot hi simple text editor hai aur usme koi colors bhi nahi hai. Text editing ka kam har kisi ko hota hai is liye maine Notepad++ ko first number par diya hai. Notepad++ ka interface bilkul Notepad jaise hi hai  use karne me bhi aasan hai. Notepad++ aap free download karke aapne computer me install kar sakte hai. Notepad++ ko download karne ke liye is link par click kariye. Download

09. FreeDownloadManeger

Internet ki duniya me ek bahot hi badiya aur user friendly download manager hai jo ki shayad aapko pata hoga Internet Download manager. Internet download manager badi file bahot hi kam samay me download karta hai. But Internet download manager paid software hai is liye ise sab log use nahi kar sakte. Aaj mai aapko aise hi ek Download Manager ke bare me batane wala hu Jo Internet Download manager ke liye best alternative hai e.i.FreedownloadManeger  jaise ki iska name hai ye software bilkul free hai, lekin ye free hone ke karan aapko kuch ads dikhne lagenge jo ki aap adjust kar sakte hai. FreeDownloadManeger aap freedownloadmanager.org/download is site par jakar download kar sakte hai. Ye download manager bahot fast koi bhi file hume download karke deta hai.

08. Chrome (Web Browser)

Agar hume fast internet surfing karni hai toh hume lagta hai ek super fast aur reliable browser. Mujhe toh chrome se behtar koi bhi browser hoga aisa nahi lagta. Chrome ye google dwara banaya gaya browser hai, aur use karne ke liye bahot hi mast hai. Aapne kai browser dekhe hoge jo ki dher sare ads dikhate hai aur hume apne kam se distract kar dete hai. So jo internet lover log hai mai unko recommend karunga wo chrome hi use kare. Chrome aap is website par jakar free download kar sakte hai. google.com/chrome/

07. VLC Media Player

Agar aap HD movies aur video apne computer me dekhna chahte  hai toh aapko jarurat padti hai ek media player ki. VLC media player ek bahot hi badiya media player hai jisme hum Mp4, Mkv, Avi. Flv ees tarah ke video format  aur Mp3, Wav ees tarah ke audio files view kar sakte hai. VLC media player install aur use karne ke liye bahot aasan hai. VLC media player aap is website par jakar free download kar sakte hai. Download

06. GIMP 2 (Image Editor)

GIMP ek best text editor hai jise aap photos bana ne ke liye aur photos edit karne ke liye use kar sakte hai. GIMP paint ke liye best alternative hai. Paint se GIMP ko compare kiya toh GIMP me feature jyada hai, isme hum jyada editing kar sakte hai jo aap paint me nahi kar sakte. This software also free to use. Ye software bhi use karne ke liye easy aur free hai aap ise free download kar sakte hai. Agar aap photo editing ka kam jyada karte hai toh mai aapko batana chahunga aap is application ko ek bar jarur use karke dekhiye shayad aapko acha lage. blogger log bhi jyada tar yahi tool use karte hai. Is applicatin ko kaise use karte hai iske bare me aapko youtube par bhi bahot sare videos milege is liye aap iska use aasanise sikh sakte hai.Download

05. AdobeFlashPlayer

Abode flash player ka instmal online multimedia, audio aur video stream karne ke liye hota hai. Abode flash player micromedia ne banaya hai aur ise abobe system ne develop kiya hai. Aapko pata hoga jab hum youtube par koi video search karke dekhna chahte hai tab new pc me udar error aata hai wo is liya aata hai us pc me flashplayer install nahi hota. Ye jo audio, video hum online play karte hai wo sab flash player ki madat se chalte hai is liye flash player aapke pc me install hona jaruri hai aap flash player ko is page par jakar free download kar sakte hai. Download

04. Bitdefender Antivirus

Bitdefender ke bare me mai pehle hi deep me bata chuka hu aap yaha pad sakte hai Dowload Free Bitdefender Antivirus For Home Users .Agar aap laptop ya desktop use karte hai toh jahir si bat hai internet bhi use karte hoge, aur bina antivirus ke computer me internet chalana kuwe me kudne jitna risky hai. Agar aapne apne pc me antivirus installed nahi rakha toh aapke pc par virus attack bhi ho sakta hai. Waise toh bahot sare antivirus free aur paid available hai lekin iski kya garenty ki konsa antivirus aapke computer ko 100% virus attack se bachayega. Is liye aaj mai aapko Bitdefender Antivirus ke bare me batane wala hu is antivirus ke dono version available hai free aur paid. Iska free version bhi bahot badiya hai.

03. Total Video Converter

Total video converter ka use video format ko convert kanrne ke liye jata hai. Suppose aapke pass koi video hai aur uska format hai Avi aur avi format ke video aapke mobile me nahi chalte toh aise me aap us video ko Mp4 format me convert kar sakte hai total video converter ki madat se. Total video converter free hai use karne ke liye aur aapko isme aur ek benefit milega aap video ko cut bhi kar sakte hai. Agar aapke pass koi movie hai aur aapko sirf usme ka ek song chahiye toh ye bhi kam aap yaha kar sakte hai. Total video converter ko download karne ke liye yaha click kare.

02. Movie Maker

Movie maker ek Microsoft ka best application hai slide show  aur video mix, edit karne ke liye. Agar aap video blogger hai toh aapke liye ye software bahot kam ka hai. Hum is application par ek badiya sa presentation video bana sakte hai. Just aapko kuch photos bana ne padege aur background ke liye ek music add karna padega uske bad us photos ka video aapko video format me milega. Windows movie maker ko aap Microsoft ki website se free download kar sakte hai. Download

01.  Adobe Reader

Adobe Reader ek free program hai jo Pdf file open karne ke liye use kiya jata hai. Pdf file means usme text, images, documents and books aisa kuch bhi ho sakta hai. Information share karne ke liye pdf file bahot jyada use ki jati hai, is liye adobe reader aapke pc me install hona jaruri hai. Adobe reader ko download karne ke liye aap is site par ja sakte hai. Go to site
I hope aapko ye sabhi applications ke bare me achi tarah pata chal gaya hai. Agar aapko ye post pasand aa gai hai toh ise share karna na bhuliye. Future me aapko eesi tarah useful post milti rahegi. Agar aapko new post ka email notification chahiye toh humare blog ko subscribe 

Wi-Fi Password Kaise Dekhte Hai Android Phone Me


Saved Wi-Fi Password Kaise Dekhte Hai Android Phone Me

Aaj mai aapko bataunga save kiya hua  Wi-Fi password kaise dekhte hai. Bahot sare logone mujhse pucha ki jo Wi-Fi humare phone me connect hota hai uska password kaise dekhte hai un sabke doubts is post se clear ho jayenge. First of all mai aapko explain karta hu mai kya bataneki koshish kar raha hun. Suppose hum kai sare Wi-Fi aapne phone me connect karte hai jaise ki gharpe hote hai toh gharka, collage me hote hai toh collage ka lekin wo sab Wi-Fi ke passwords ek bar dalne ke bad badme hume dikhte nahi is trick se aapko samaj aa jayega ki aapne phone me jitne bhi Wi-Fi connect hai un sab ke passwords kaise dekhe. Is Trick ko try karne ke liye aapka phone root kiya hua hona jaruree hai. Agar aapko pata nahi hai ki Android phone root kaise karte hai ya root kya hota hai to aap ye post padiye “Android Smartphone root kaise karte hai” is post me rooting ke bare me puri jankari hai. Bina time wast kiye start karte hai.
Is Trick Ke Liye Requirements
  • Ek rooted android phone
  • Es File Explorer aap

Saved Wi-Fi Password Kaise Dekhte Hai Android Phone Me

Step 1: Aapne phone me Es File Explorer aap PlayStore se download karke install kare. Ye aap free available hai.
Step 2: Es File Explorer aap open kare aur usme device storage me jakar Data  name ka folder open  kare.
saved Wi-Fi password kaise dekhe
Step 3: Data folder opne karne ke bad usme misc name ka folder open kare aur misc folder open karne ke bad misc folder me wifi  name ka folder hoga u se open kare. ( data>>misc>>wifi )
how to view saved Wi-Fi password in android phone
Step 4: Wi-Fi folder open karne ke bad usme wpa_supplicant.conf. ye name ki file hogi u se  Es file Explorer ke sath open kare.
Wi-Fi ka save kiya hua password kaise dekhte hai android phone me
ho gaya ab aapke samne kuch code aayega us code me ssid ke samne jo wifi connect huye the unke names aayenge aur psk ke samne un sabhi wifi ke passwords dikhenge. Aapko behtar samaj aane ke liye upar screen shot me high light kiya gaya hai. Umid karta hu ki aapko sab samaj me aa gaya hoga aur ye trick bhi passand aa gai hogi. Humari website ko aapne dosto me jarur share kariye have a nice day.
https://www.facebook.com/dileeppathe.chintupawar