Wednesday, February 17, 2016

Top 10 Softwares Har Windows Pc Me Hone Chahiye

Top 10 Softwares Har Windows Pc Me Hone Chahiye

Hey hi friends aaj mai aapko bataunga aisaTop 10 software’s jo aapke windows computer me jarur hone chahiye, ho sakta hai kuch software’s  aapka kam bahot aasan kar de toh is post ko puri tarah pad leejiye. Agar aapne abhi abhi new laptop ya dekstop kharida hai toh aap usko direct chalu karke istemal nahi kar sakte kyu ki pehle hume usme kuch software’s install karne padte hai. Ye jo 10 software’s mai aapko batane ja raha hu inko mai khud use karta hu aur pure safe hai, in sab programs ko maine puri tarah check kiya hai aur tabhi aapse share kar raha hu. Inme se koi bhi programm ko install karne se aapke pc ka koi nuksan nahi hoga. Waise toh hume internet par kai sare softwears milte hai, lekin kuch hume pasand nahi aate aur bahi kuch jo pasand aate hai wo sab paid hote hai. Aaj mai aapko Top 10 software’s bataunga jo 100% free hai. Aapko just itna karna hai applications ko download karke install karna hai aur ek bar install kar liye fir aap usko fully use kar sakte hai. Aur ek bad aapko bata du ki software ko hi Application, programs and set of instruction bolte hai aap confuse mat ho jaiye. Agar fir bhi aapko koi bat samaj me nahi aai toh niche commect box hai aap comment karke mujhse apne sawal puch sakte hai. So bina time wast kiye dekhte hai Top 10 program’s for windows.
Windows pc ke liye top 10 softwares

10. NotePad++

NotePad++  ek bahot hi badiya computer application hai jise hum Text ya source cod edit karne ke liye use karte hai. Jaise ki hume pata hai windows operating system install karne ke bad usme Notepad default text editor Microsoft ne hi recommend kiya hota hai, us notepad me kam karne ke liye interest nahi aata kyu ki Notepad bahot hi simple text editor hai aur usme koi colors bhi nahi hai. Text editing ka kam har kisi ko hota hai is liye maine Notepad++ ko first number par diya hai. Notepad++ ka interface bilkul Notepad jaise hi hai  use karne me bhi aasan hai. Notepad++ aap free download karke aapne computer me install kar sakte hai. Notepad++ ko download karne ke liye is link par click kariye. Download

09. FreeDownloadManeger

Internet ki duniya me ek bahot hi badiya aur user friendly download manager hai jo ki shayad aapko pata hoga Internet Download manager. Internet download manager badi file bahot hi kam samay me download karta hai. But Internet download manager paid software hai is liye ise sab log use nahi kar sakte. Aaj mai aapko aise hi ek Download Manager ke bare me batane wala hu Jo Internet Download manager ke liye best alternative hai e.i.FreedownloadManeger  jaise ki iska name hai ye software bilkul free hai, lekin ye free hone ke karan aapko kuch ads dikhne lagenge jo ki aap adjust kar sakte hai. FreeDownloadManeger aap freedownloadmanager.org/download is site par jakar download kar sakte hai. Ye download manager bahot fast koi bhi file hume download karke deta hai.

08. Chrome (Web Browser)

Agar hume fast internet surfing karni hai toh hume lagta hai ek super fast aur reliable browser. Mujhe toh chrome se behtar koi bhi browser hoga aisa nahi lagta. Chrome ye google dwara banaya gaya browser hai, aur use karne ke liye bahot hi mast hai. Aapne kai browser dekhe hoge jo ki dher sare ads dikhate hai aur hume apne kam se distract kar dete hai. So jo internet lover log hai mai unko recommend karunga wo chrome hi use kare. Chrome aap is website par jakar free download kar sakte hai. google.com/chrome/

07. VLC Media Player

Agar aap HD movies aur video apne computer me dekhna chahte  hai toh aapko jarurat padti hai ek media player ki. VLC media player ek bahot hi badiya media player hai jisme hum Mp4, Mkv, Avi. Flv ees tarah ke video format  aur Mp3, Wav ees tarah ke audio files view kar sakte hai. VLC media player install aur use karne ke liye bahot aasan hai. VLC media player aap is website par jakar free download kar sakte hai. Download

06. GIMP 2 (Image Editor)

GIMP ek best text editor hai jise aap photos bana ne ke liye aur photos edit karne ke liye use kar sakte hai. GIMP paint ke liye best alternative hai. Paint se GIMP ko compare kiya toh GIMP me feature jyada hai, isme hum jyada editing kar sakte hai jo aap paint me nahi kar sakte. This software also free to use. Ye software bhi use karne ke liye easy aur free hai aap ise free download kar sakte hai. Agar aap photo editing ka kam jyada karte hai toh mai aapko batana chahunga aap is application ko ek bar jarur use karke dekhiye shayad aapko acha lage. blogger log bhi jyada tar yahi tool use karte hai. Is applicatin ko kaise use karte hai iske bare me aapko youtube par bhi bahot sare videos milege is liye aap iska use aasanise sikh sakte hai.Download

05. AdobeFlashPlayer

Abode flash player ka instmal online multimedia, audio aur video stream karne ke liye hota hai. Abode flash player micromedia ne banaya hai aur ise abobe system ne develop kiya hai. Aapko pata hoga jab hum youtube par koi video search karke dekhna chahte hai tab new pc me udar error aata hai wo is liya aata hai us pc me flashplayer install nahi hota. Ye jo audio, video hum online play karte hai wo sab flash player ki madat se chalte hai is liye flash player aapke pc me install hona jaruri hai aap flash player ko is page par jakar free download kar sakte hai. Download

04. Bitdefender Antivirus

Bitdefender ke bare me mai pehle hi deep me bata chuka hu aap yaha pad sakte hai Dowload Free Bitdefender Antivirus For Home Users .Agar aap laptop ya desktop use karte hai toh jahir si bat hai internet bhi use karte hoge, aur bina antivirus ke computer me internet chalana kuwe me kudne jitna risky hai. Agar aapne apne pc me antivirus installed nahi rakha toh aapke pc par virus attack bhi ho sakta hai. Waise toh bahot sare antivirus free aur paid available hai lekin iski kya garenty ki konsa antivirus aapke computer ko 100% virus attack se bachayega. Is liye aaj mai aapko Bitdefender Antivirus ke bare me batane wala hu is antivirus ke dono version available hai free aur paid. Iska free version bhi bahot badiya hai.

03. Total Video Converter

Total video converter ka use video format ko convert kanrne ke liye jata hai. Suppose aapke pass koi video hai aur uska format hai Avi aur avi format ke video aapke mobile me nahi chalte toh aise me aap us video ko Mp4 format me convert kar sakte hai total video converter ki madat se. Total video converter free hai use karne ke liye aur aapko isme aur ek benefit milega aap video ko cut bhi kar sakte hai. Agar aapke pass koi movie hai aur aapko sirf usme ka ek song chahiye toh ye bhi kam aap yaha kar sakte hai. Total video converter ko download karne ke liye yaha click kare.

02. Movie Maker

Movie maker ek Microsoft ka best application hai slide show  aur video mix, edit karne ke liye. Agar aap video blogger hai toh aapke liye ye software bahot kam ka hai. Hum is application par ek badiya sa presentation video bana sakte hai. Just aapko kuch photos bana ne padege aur background ke liye ek music add karna padega uske bad us photos ka video aapko video format me milega. Windows movie maker ko aap Microsoft ki website se free download kar sakte hai. Download

01.  Adobe Reader

Adobe Reader ek free program hai jo Pdf file open karne ke liye use kiya jata hai. Pdf file means usme text, images, documents and books aisa kuch bhi ho sakta hai. Information share karne ke liye pdf file bahot jyada use ki jati hai, is liye adobe reader aapke pc me install hona jaruri hai. Adobe reader ko download karne ke liye aap is site par ja sakte hai. Go to site
I hope aapko ye sabhi applications ke bare me achi tarah pata chal gaya hai. Agar aapko ye post pasand aa gai hai toh ise share karna na bhuliye. Future me aapko eesi tarah useful post milti rahegi. Agar aapko new post ka email notification chahiye toh humare blog ko subscribe 

No comments:

Post a Comment