Wednesday, February 17, 2016

Wi-Fi Password Kaise Dekhte Hai Android Phone Me


Saved Wi-Fi Password Kaise Dekhte Hai Android Phone Me

Aaj mai aapko bataunga save kiya hua  Wi-Fi password kaise dekhte hai. Bahot sare logone mujhse pucha ki jo Wi-Fi humare phone me connect hota hai uska password kaise dekhte hai un sabke doubts is post se clear ho jayenge. First of all mai aapko explain karta hu mai kya bataneki koshish kar raha hun. Suppose hum kai sare Wi-Fi aapne phone me connect karte hai jaise ki gharpe hote hai toh gharka, collage me hote hai toh collage ka lekin wo sab Wi-Fi ke passwords ek bar dalne ke bad badme hume dikhte nahi is trick se aapko samaj aa jayega ki aapne phone me jitne bhi Wi-Fi connect hai un sab ke passwords kaise dekhe. Is Trick ko try karne ke liye aapka phone root kiya hua hona jaruree hai. Agar aapko pata nahi hai ki Android phone root kaise karte hai ya root kya hota hai to aap ye post padiye “Android Smartphone root kaise karte hai” is post me rooting ke bare me puri jankari hai. Bina time wast kiye start karte hai.
Is Trick Ke Liye Requirements
  • Ek rooted android phone
  • Es File Explorer aap

Saved Wi-Fi Password Kaise Dekhte Hai Android Phone Me

Step 1: Aapne phone me Es File Explorer aap PlayStore se download karke install kare. Ye aap free available hai.
Step 2: Es File Explorer aap open kare aur usme device storage me jakar Data  name ka folder open  kare.
saved Wi-Fi password kaise dekhe
Step 3: Data folder opne karne ke bad usme misc name ka folder open kare aur misc folder open karne ke bad misc folder me wifi  name ka folder hoga u se open kare. ( data>>misc>>wifi )
how to view saved Wi-Fi password in android phone
Step 4: Wi-Fi folder open karne ke bad usme wpa_supplicant.conf. ye name ki file hogi u se  Es file Explorer ke sath open kare.
Wi-Fi ka save kiya hua password kaise dekhte hai android phone me
ho gaya ab aapke samne kuch code aayega us code me ssid ke samne jo wifi connect huye the unke names aayenge aur psk ke samne un sabhi wifi ke passwords dikhenge. Aapko behtar samaj aane ke liye upar screen shot me high light kiya gaya hai. Umid karta hu ki aapko sab samaj me aa gaya hoga aur ye trick bhi passand aa gai hogi. Humari website ko aapne dosto me jarur share kariye have a nice day.
https://www.facebook.com/dileeppathe.chintupawar

No comments:

Post a Comment