Tuesday, March 29, 2016

Android smartphone me software kaise Dale, brick smartphone ko unbrick kaise kare.

  Android smartphone me software kaise Dale, brick smartphone ko unbrick kaise kare.


      
Android smartphone me software kaise Dale, brick smartphone ko unbrick kaise kare.
hiii dosto aaj mai aapko batane wala Hu ki  kisi Bhi Android smartphone me software kaise Dale. technical bhasa me kahu to smartphone me wapas se software dalna flashing kahlata hai. mai aaj aapko aesa tarika bataunga jis se aap lava,karbon, Samsung, micromax jaise kai sare company ke Android smartphone me dubara se software dal sakte hai. to dosto chahe  aapka phone brick ho gya ho ya phone on nhi ho RHA ho. ya fir phone ka software update krne ke bad aapko wo pasand ni aaya ho or aap wapas se apna purana software pana chahte ho. wajah koi Bhi ho un sabka ek simple sa solution hai ki aap apne phone ko flashing software ki madad se stock Rom firmware ko apne smartphone me flash kar de.
note:-  dosto ye flashing ki simple guide hai. har smartphone ka alag alag flashing tools or Rom hote hai. ye bs aapke knowledge ke liye hai. is guide ke jariye aap un smartphone ki flashing kar sakte hai jinke Rom ko unzip karne par usme scatter file milta hai. ye basically mediatek processor wale phone me milta ha

Rom flash karne ke liye aapke pas kya kya hone chahiye.
1. ek computer
2. aapke phone ka software(stock Rom firmware) jise aap Google me search karke download kar sakte hai. aapko Google me aese type karna hoga. ” (apne tablet/phone ka nam uske model name ke sath) stock Rom firmware download ”
for example :-
Samsung Galaxy s4 stock Rom firmware download
5. or aapka Android smartphone Jo 60% charge Hona chahiye.
Android  smartphone me software (Rom) dalne ke liye step to step guide.
step 1. stock Rom firmware zip format me hoti hai to aap sabse pahle use unzip kar le.
step 2. Android usb driver Jo aapko Maine download karwaya tha use install kar le.
step 3. SP flash tool zip format me hogi aap use extract kare or fir flash_tool.exe  ko open kare
step 5. SP  flash tool ke open ho Jane bad download button par click kare.
step 5.  avi aap scatter loading button pe click kare .
step 6.  fir scatter file ko open karne kaha jayega aapko. scatter file aapko Rom folder me milega Jo aapne download karke unzip karke rkha hua hai.
step 7. ab agar aapne scatter file ko select karke open kar diya hai to aap wapas se flashing software me AA gye honge. waha aap download button par click kare
step 8. ab phone ko switch off karke uski battery nikal le or USB cable ke jariye phone ko computer se connect kare.
step 7. kuch der wait karne ke bad agar process shuru ho jaye to samjh jaiye ki aapke phon ki flashing shuru ho gai hai.
step 8.  ab agar aapka phon successfully flash ho gya hai mtlb phone me software install ho gya hai to aapko ek green symbol najar aayega..
to dosto kaisi lagi ye post. agar aapko apne phone me software dalna hai mtlb flashing karna hai to mujhe comments me apne phon ka nam bataye. mai aapko bataunga ki aapke phone ki flashing kaise karenge aap.  agar aapka question is topic se hat k hai to aap mujhe sawal jawal page me puch sakte hai. mujhe aapki madad krne me khusi hogi.. or hmara fb page jarur like kare
mera number hai 9407330863