Saturday, January 23, 2016

study karte time need Aaye to kya kare

   Padhte Time Neend Aane Par Kya Kare
                                                           

  
 I know ye mostly sabke sath hota hai jab hum padhte hai to ussi time hume neend aati hai or aage piche kissi bhi kaam karne me neend nahi aati hai. Humare sath khud aisa hi hota tha doston jab padhne bethte the to neend ka aana pakka hota tha isliye bachpan me hum mostly kehte the ki jisse neend na aane ki problem hai vo padhai kare uske baad neend to definitely aa hi jayegi. But agar aap iss problem ka solution chahte hai or nahi chahte ki neend aaye to aaj ka hamara ye topic aap jaroor padhe.

Padhte Time Neend Aane Par Kya Kare tips in hindi wallpapers

Padhte Time Neend Aane Par Kya Kare

Jab exams time hota hai or aise me to doston aapko pta hi hai ki kitna padhna padta hai but jab neend aaye to bahut gussa bhi aata hai aise me humare paas do option hote hai ki ya to hum padhai chor ke chup chap soh jaye ya fir jaage rahe or study karte rahte. But dono hi roop me na to humari study ho paati hai or na hi neend puri hoti hai. To bas doston aaj hum yahi discuss karne vale hai ki aisi situation me kya kare.

Avoid Physical Exertion (Workout)

Agar routine days me aap apne body ko workout karne ke liye push karte ho to ye chances bahut baad jate hai ki study time me aapko neend ane lag jaye. Agar aap continuously gym ja rahe ho, to aapki body less strenuous work karna chahega. Long workout se jab body tired rahti hai to body rest mangti hai or late night studies karna impossible ho jata hai.

Keep Lights In Your Room Switched On

Mostly people yahi mistake karte hai ki jab vo study karte hai to room ki light switch off karke table lamp ki switched on karke rakhte hai. Isse kya hota hai doston… ek aaramdayak mahol ban jata hai. Sirf table lamp ki switched on karne se, pore room me to darkness rahegi. Remember, lights off karke room me empty bed aapko attract karta hai. Isse aapko easily neend aane lag jati hai.

Don’t Lie In Bed And Study

Jab aap study kar rahe ho to table or chair ki aadat daale. Jab aap bed me let kar study karte hai to lazypan aane lag jata hai. Or jab lazy hone lag jate hai to hume neend aane lag jati hai or hum books ko good bye keh dete hai. Aap walk karke bhi study kar sakte hai.

Don’t Have A Heavy Meal

In case you have heavy meal, aap naturally lazy feel karne lag jate ho. Jab aap lazy feel karte ho to neend ka aana possible ho jata hai. Aapka focus and retention power decrease ho jata hai because of overabundant utilization of food. Students ke liye generally lunch and dinner jaldi karne ko kaha jata hai. Kabhi bhi apna dinner skip nahi karna chahiye kyuki study more difficult ho jati hai with an empty stomach. Mostly students continuous study karke hungry feel karte hai; aise me kuch snacks recommended kiya gaya hai. Fruits are also the best late night snacks.

Drink Lots Of Water

Exams se pehle mostly students yahi method use karte hai. Or jab aap quantity of water pite ho to aap ko neend nahi aati. Pani pine humare digestive system aur skin ke liye bhi bahut jaruri hai. Pani pine se humari ankhe jaldi band nhi hoti.

Move Around In Your Room

Ye useful method hai ki agar aap room me move karke study karte hai to aise me aapko neend bhi nahi aati hai, YES it really works. Mostly people yahi method use karke late night study kar paate hai.

Take A Heavy Music Break

Agar aap extremely sleepy feel kar rahe ho study time me to aap heavy metal songs with high volume sunn sakte ho. Only one tune sufficient hai aapko alert or active karne ke liye. Romantic and sad song ko sunne se avoid kare. Kyuki doston agar aapka lovey-dovey state of mind ban gaya to aap books ko side karke kahi or hi activities me focus hone lag jayega.

Study Loudly

Apni voice ko sunne or room me move karke study kare. Ye sab ke liye work nahi kart hai but mostly yahi paya gaya hai ki sleepy student pe isne work kiya hai.

Do Meditation

Agar aap apna concentration lose nahi karna chahte ya study ke time sleepy feel hota hai to aapko atleast 20 minutes ka meditation karna hi chahiye daily. Meditation ke baad light exercises practice kar sakte hai like stretching or yoga. Aisa karne se aap both mentally or physically fit rahoge.
So doston kaisa laga humara aaj ka topic hume jaroor msg karke bataye. Or like and share karna na bhule. Kuch bhi share karne ke liye aap hume niche comment kar sakte hai. Stay tunned with us to get more information about other articles. Be Happy.

No comments:

Post a Comment