Computer Ki Jankari – Computer Kaise Use Kare
Aajkal ke ka jamana Computer ka jamana kehlaya jata hai. Computer Ki Jankari jisko hai usi ko mana jata he. Computer ka maehtwa aaj kal bohot badh gaya hai. Abhi har kisiko Computer ki basic cheeje aani chahiye, Har kshetra (field) me abhi Computer ka upayog badh gaya hai. Jise Computer chalana nahi ata wo nirakshar kehalaya jata he. Janiye Computer Ki Jankari Hindi Me
To fir chalo, jante hai jucch cheeje computer ke bare me, Jante he basic computer kya hota hai aur use kaise use karte hai.
Computer Kya Hai
Computer ek yantra he, English me use device kehte he, Electronic device. Jisko Hame kuch data dena padta he, matlab shuruwat me computer sirf ek blank device rehta he, hume usme jankari store karni padti hai, uske bad wo chalu karne ke bad hamare diye gaye nirdeshoke (instructions) ke anusar wo hame store kiya hua data jise hum information kehte he. Wo hume batata he.
Computer Me Programs hote he, jo ye data ko information me badalta he aur hame bhejta hai. Jin nirdesho ke anusar ye Computer kam karta hai use Program kehte hai. Hindi me Computer ko Sanagank bhi kaha jata he. English me kayi log use PC bhi kehte he. PC matlab Personal Computer, yani Vyaktigat Computer. Personal Computer ek banda hi use kar sakata hai. Aapne Shared Computer bhi suna hoga, is prakar me ek hi Computer par ek se jada log kam kar skate he.
Data Kya He
Aapne data shabd bohot bar suna hoga, Computer ke kshetra me ye vibhinna prakr me prayukt hota he. Jis par prakriya karne se arthpurn suchna prapt hoti he. Data ko raw data bhi kaha jata he. Jiska matlab he jispar koi prakriya nahi gyi ho. Data alag alag rup me hamare computer par rehta he, jaiseki Images, Photos, Videos, Gaane, File, Documents. Raw Data par Prakriya karne ke bad usko Information me badla jata he.
Prakriya Kya Hai
Data jaise akshar, ank, sankhya, ya kisi image, video ko suvyavasthit karne ki unki ganana ko prakriya kehte he. Kisi bhi data ko arthpurn jankari me badlne ke liye use prakriya se gujarna jaroori he. Uske bad uska information me rupantar hota he.
Ganana aur Tulana Kya he – गणना / तुलना
Jodna, Ghatana, Guna karna aur bhag dena ya fir ausat karna ye sari chieeje Ganana me aati he. Computer me ek vibhag hota he is Ganan kriya ke liye use CPU kaha jata he. Ye karya Decision Making me bhi aata hai. Computer manushya se kafi tej he kyo ki, Computer ki calculation power bohot tej hoti hai.
Nirnay Lena – Decision Making
Computer hamare diye gaye suchna ke adhar par apne aap decision leta he ki is suchna par kya operation karna he. Computer shart aur tark ke adhar par ye nirnay leta he. Central Processing Unit ke jariye sare nirnay liye jate he, Computer ka karya input devices se milli suchnao ke adhar par chalta he. Input device me Mouse, Keyboard, Scanner in sbahi cheejo ka samavesh hota hai. Decision lene ke bad un signals ko hum output devices par dekhte hai, jaise ki Monitor, Printer.
Logic – Tark तर्क
Aavashyak parinaam ko prapt karne ke liye pado ke kram ko Logic kaha jata he. Prakriya kewal ank aur sankhya ki ganana ko hi nahi kehte, baliki Computer ki shayata se dastaveji me trutiya dhundhna, problem ko vyavasthit karna jaise kai kaam bhi Logic vibhag me aate he. Is vibhak mo english me Arithmetical and Logical Unit kehte hai. Is unit se saare functions Memory Unit se jude hote hai, jaha se temporarily save ki hua data ka istamal karke wo tark lagage apne decisions leta hai. Ye unit bhi decision lene wale unit se Juda hota hai.
Computer Ki Block Diagram
Ye diagram dekh kar aapko computer ke functional units ka andaaj aa jayega.
Input Devices
Computer Ko suchna dene ke liye hume input device ki aavashyakta hoti hai. Bohot saare devices he jinse hum computer ko instructions de skte hai.
- Keyboard
- Mouse
- Joy Stick
- Light pen
- Track Ball
- Scanner
- Graphic Tablet
- Microphone
- Magnetic Ink Card Reader(MICR)
- Optical Character Reader(OCR)
- Bar Code Reader
- Optical Mark Reader(OMR)
Output Devices
Computer se prapt ki hui information ko user ko batane ke liye ya represent karne ke liye output device use hota hai, Hum apni sari jankari computer ke screen par dekhte hai, wo ek output device hai.
- Monitors
- Graphic Plotter
- Printer
- Projectors
Tags : Computer Ki Jankari, Sanganak Ki Jankari, Computer Ki Jankari Hindi Me, Computer Kaise Chalaye, Computer Kaise Chalta Hai, Computer Ke Fayde, Computer Kaise Kam Karta Hai, Computer Kaise Chalta Hai
ok by Friends Dileep pathe chintu pawar next trick me our kuch bataoga.
bhai tera blog 1 number hai / girls patane ke tarike to ekdam mast ....hai
ReplyDelete